hansi nasib nahin hai khushi nasib nahin wo jab se ruth gae zindagi nasib nahin har ek gul hai pareshan har ek kali hai udas bahaar mein bhi unhen tazgi nasib nahin nazar ke samne hai un ka sang-e-dar phir bhi meri jabin ko magar bandagi nasib nahin pila raha hun hazaron ko apne hathon se hun mai-kade mein magar mai-kashi nasib nahin sukun kahte hain kis ko qarar kya shai hai tumhaare baad mujhe ek bhi nasib nahin main chahta hun 'sharar' tujh ko dekh lun ek bar na jaane kyon tera didar bhi nasib nahin