hanste ho rote dekh kar gham se

hanste ho rote dekh kar gham se
chhed rakhi hai tum ne kya hum se

mund gai aankh hai andhera pak
raushni hai so yan mere dam se

tum jo dil-khwah khalq ho hum ko
dushmani hai tamam aalam se

darhami aa gai mizajon mein
aakhir un gesuwan-e-dirham se

sab ne jaana kahin ye aashiq hai
bah gae ashk dida-e-nam se

muft yun hath se na kho hum ko
kahin paida bhi hote hain hum se

aksar aalat-e-jaur us se hue
aafaten aain us ke muqaddam se

dekh we palken barchhiyan chaliyan
tegh nikli us abru-e-kham se

koi begana gar nahin maujud
munh chhupana ye kya hai phir hum se

wajh parde ki pochhiye bare
maliye us ke kaso jo mahram se

darpai khun 'mir' hi na raho
ho bhi jata hai jurm aadam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close