hanuz yaad hai wo lamha-e-khitab tera mere hazar sawalon pe ek jawab tera hai ab bhi yaad mere dil ko aag bakhshte waqt machal raha tha jo honton ka iltihab tera shabon ko der se bedar aashiqi thi yahan badal raha tha wahan karwaten shabab tera libas-e-shab ko kiya tha sahar ne zeb-e-tan ki main ne dekha tha bas jalwa-e-hijab tera nazar mile jo dobara to tujh ko lauta dun jo khwab palkon ne meri liya tha dab tera teri gali mein jo pahuncha to main ne ye dekha meri nigah se hairan tha husn-e-bab tera