hanuz zindagi-e-talkh ka maza na mila kamal-e-sabr mila sabr-azma na mila meri bahaar-o-khizan jis ke ikhtiyar mein hai mizaj us dil-e-be-ikhtiyar ka na mila hawa ke dosh pe jata hai karwan-e-nafas adam ki rah mein koi piyaada-pa na mila bas ek nuqta-e-farzi ka nam hai kaba kisi ko markaz-e-tahqiq ka pata na mila umid-o-bim ne mara mujhe do-rahe par kahan ke dair-o-haram ghar ka rasta na mila ba-juz irada-parasti khuda ko kya jaane wo bad-nasib jise bakht-e-na-rasana mila nigah-e-'yas' se sabit hai sai-e-la-hasil khuda ka zikr to kya banda-e-khuda na mila