haq-bayani ke charaghon ko jala kar aa gaya

haq-bayani ke charaghon ko jala kar aa gaya
us ke dil ko raushni ka ghar bana kar aa gaya

ek diwana jise pyasa samajhte the sabhi
wo jhulasti ret pe dariya baha kar aa gaya

tha sakun darkar mujh ko khamushi ke shahar mein
is liye aawaz mitti mein daba kar aa gaya

shart thi gharqab hona han magar teri raza
phir samundar par koi rasta bana kar aa gaya

ek jugnu raqs karta tha fasil-e-hijr par
aur main pagal charaghon ko jala kar aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close