haq-parasti ke saza-war hua karte the

haq-parasti ke saza-war hua karte the
hum kabhi sahab-e-kirdar hua karte the

koi mazhab ho koi rang ho mil baithte the
des mein aise bhi tehwar hua karte the

pas-e-tahzib tha ek wo bhi zamana tha kabhi
mere dushman bhi mere yar hua karte the

is tarah thak ke to baitha nahin karte the hum
raste pahle bhi dushwar hua karte the

ab to sukhe hue patton ka bharam rakhte hain
hum kabhi shakh-e-samar-dar hua karte the

pagdiyan qadmon mein rakhne ka hunar sikh gae
hum wahi hain jo sar-e-dar hua karte the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close