haqiqaten hon mayassar to khwab kyun dekhun main tishnagi mein bhi samt-e-sarab kyun dekhun tamam-umr guzarni hai jab andheron mein to ek shab ke liye mahtab kyun dekhun mere makan ke darwaze band rahne do main apni aankh se mausam kharab kyun dekhun waraq waraq tere dil ki kitab raushan ho to chehra chehra naya intisab kyun dekhun jo dubna hai to sail-e-azab mein dubun fusun-e-mauj-o-tilism-e-habab kyun dekhun