haqiqaton ko tasawwur se khinch late hain hum aise log kahani nahin banate hain ajib log hain basti mein raushni ke liye diya jalate nahin hain dhuan udate hain ilaj mang rahe hain ye naqidin-e-ahd jo aaftab ko dipak yahan dikhate hain tumhaari fikr ki baisakhiyan nahin lete hum apni fikr se apna jahan banate hain hamare panw ke chhaale hamari manzil tak ubal ubal ke naya rasta banate hain kalam karti hain aksar wo jagti aankhen unhen hum apne tasawwur mein jab sajate hain purani fikr pe qaem hai ye nai duniya hum us ko roz hi padhte hain bhul jate hain kisi tarah se na kar paunga teri taqlid mere khayal ke aahu mujhe bulate hain hamara kaam hai barson se bas yahi rahi bhatak gae jo unhen rasta dikhate hain