haqq-e-neamat ada nahin hota hum se shukr-e-khuda nahin hota kya visal-e-khuda nahin hota ishq-e-sadiq se kya nahin hota be-baha dil ko nazr karta kaun husn agar dilruba nahin hota aah par hans ke ye diya tana yun to nam-e-wafa nahin hota hun agar lakh bar bhi sadqe husn ka den ada nahin hota hijr mein gham-gusar mahram-e-raaz dard-o-gham ke siwa nahin hota jo satata hai dil jalata hai us ka hargiz bhala nahin hota ishq ka nam muft hai badnam ishq achchha bura nahin hota aah se arsh hilta hai ai 'shad' fazl-e-maula se kya nahin hota