har aane jaane wale ka munh dekhta raha

har aane jaane wale ka munh dekhta raha
main rahguzar pe zist ki tanha khada raha

is zindagi ne zakhm diye barha magar
jaane har ek zakhm ko kyon chumta raha

chhoda hai aandhiyon ne na baqi nishan-e-rah
phir bhi main tera naqsh-e-qadam dhundhta raha

tanha nahin raha hun main tere firaq mein
dil par tere hi dard ka pahra laga raha

din ko to silsile the gham-e-rozgar ke
shab bhar tere khayal ka tanta laga raha

yaad-e-'habib' thi ki dhundhlakon mein kho gai
dil mein siwae khak ke baqi bhi kya raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close