har aks mera aks ho itna bhi nahin main is aaina-khane mein kahin tu hai kahin main ye mere badan par jo sulagne ke nishan hain yun hain ki zara bhar ko hua us ke qarin main ek waqt mein kitne hi gumanon se guzar kar likhta hun ye kuchh lafz sar-e-lauh-e-yaqin main ye aalam-e-nabud hai ya bud hai kya hai main kahta hun main hun koi kahta hai nahin main wo dar to bana hai na banega kabhi 'akhtar' jis ke liye phirta hun liye apni jabin main