har but yahan tute hue patthar ki tarah hai ye shahar to ujde hue mandar ki tarah hai main tishna-e-didar ki jhonka hun hawa ka wo jhil mein utre hue manzar ki tarah hai kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya main khush hun mera pyar samundar ki tarah hai is charkh ki taqdis kabhi raat ko dekho ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai main sang-e-tah-e-ab ki surat hun jahan mein aur waqt bhi soe hue sagar ki tarah hai rote hain bagule mere daman se lipat kar sahra bhi tabiat mein mere ghar ki tarah hai ashaar mere dard ki khairaat hain 'akhtar' ek shakhs ye kahta tha ki gham zar ki tarah hai