har chand abhi KHud par zahir mein aur mere ahbab nahin

har chand abhi khud par zahir mein aur mere ahbab nahin
yaron pe fida hone wale kam-yab sahi nayab nahin

duniya ka bharam qaem rakhna auron ke liye jina marna
is daur ki wo tahzib nahin is daur ke wo aadab nahin

kashti pe thapedon ka hai asar tikhe sahi maujon ke tewar
phir bhi pas-e-manzar mein yaro sazish hai koi girdab nahin

mahbub-ada hairat-afza khushbu-sirat jalwa-surat
ye khwab hamare apne hain ye khwab parae khwab nahin

har mauj-e-rawan be-faiz rahi be-saya shajar jaisi ubhri
dariya bhi sarab-asa nikla ek lab-tishna sairab nahin

bazar-e-wafa aur be-raunaq ye to alamiyya hai 'ghausi'
hire hain magar khush-tab nahin moti hain magar pur-ab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close