har-chand ki baat apni kab lutf se khali hai par yar na samjhen to ye baat nirali hai aaghosh mein hai wo aur pahlu mera khali hai mashuq mera goya taswir-e-khyali hai kya dar hai agar us ne dar se mujhe uthwaya kahte hain taghayyuri mein aashiq ki bahaali hai baalin pe jab aaya hai bimar ki tu apne tab ruh ke qabiz ne jaan us ki nikali hai main haal bayan apna karta hun ghazal kah ke is waste ab mera jo sher hai haali hai mehndi ke lagane mein phurti ye nahin dekhi zalim ne hatheli par sarson si jama li hai har-chand ki parwana jal jaane mein hai aandhi par shama bhi aatish mein ji jhonkne wali hai mani ne shabih us ki kya soch ke khinchi thi mu-e-kamar us ke ki taswir khayali hai zahir hai ki jage ho tum raat kahin rah kar aankhon mein nashe ki to kuchh thodi si lali hai maqdur magar kab tha qurban hain hum us ke daman ki tere jis ne ye jhonk sambhaali hai ai 'mushafi' hai tera itna jo sukhan chaspan kya tu ne jawan darzan ghar mein koi dali hai