har chand ki rote mein asar main nahin rakhta

har chand ki rote mein asar main nahin rakhta
kuchh is ke siwa aur hunar main nahin rakhta

us shokh ke aane ki khabar mujh se na puchho
thi be-khabari mujh ko khabar main nahin rakhta

aage mere rise hai jo is kuche mein aa kar
ai abr magar dida-e-tar main nahin rakhta

hai duri-e-gulshan se qalaq jin ko nihayat
afsos ki is fasl mein par main nahin rakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close