har-chand ki tha hijr mein andesha-e-jaan bhi aakhir ko to hum se hi utha bar-e-giran bhi ek gosha-e-dar rakkha hai mahfuz hamara is wusat-e-kaunain mein hum jaen jahan bhi madum bhi hun ahl-e-tamasha ki nazar mein bikhra hai har ek samt magar mera nishan bhi kuchh kam na hua rizq khuda tere gada par har chand ki galiyon mein utha shor-e-sagan bhi kaam aati hai akasr to yahi khana-badoshi rakhne ko to hum shahr mein rakhte hain makan bhi us waqt ajab hota hai tarsil ka aalam lafzon ko taras jate hain jab ahl-e-zaban bhi