har dam kuchh iztirab ke aise bhanwar mein hun jaise kisi dua-e-zarar ke asar mein hun bah jaun ban ke sail-e-rawan is zamin par main ek udas sham kisi chashm-e-tar mein hun khud ki talash mein hi zamane guzar gae kya apni justuju hi ke dam-e-sahar mein hun jaise kisi ujad kharabe mein gunj ho maujud is tarah tere diwar-o-dar mein hun manzil-shanas ban na saka main to kya hua itna to jaanta hun ki rah-e-safar mein hun 'asim' mizaj mein hain tamannaen is tarah jaise main aaj tak koi bachcha sa ghar mein hun