har ek fankar ne jo kuchh bhi likkha KHub-tar likkha

har ek fankar ne jo kuchh bhi likkha khub-tar likkha
hawa ne paniyon par paniyon ne ret par likkha

darakhshan kitne lamhe kar gaya ek barg-e-jaan-rafta
shajar se gir ke us ne daeron mein kis qadar likkha

subuk se rang halke daere ubhre hue shoshe
kisi ne kitni fankari se is ke jism par likkha

main hun zulmat-guzin ye khel hai taqdir ka warna
siyahi se bhi main ne raushni ke nam par likkha

shafaq ka rang kitne walehana-pan se bikhra hai
zamin o aasman ne mil ke unwan-e-sahar likkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close