har ek jhonka nukila ho gaya hai faza ka rang nila ho gaya hai abhi do chaar hi bunden girin hain magar mausam nashila ho gaya hai karen kya dil usi ko mangta hai ye sala bhi hatila ho gaya hai khabar kya thi ki neki banjh hogi badi ka to qabila ho gaya hai khuda rakkhe jawani aa gai hai gunah banka-sajila ho gaya hai na jaane chhat pe kya dekha tha 'alwi' bechaara chand pila ho hai