har ek kamal ko dekha jo hum ne ru ba-zawal sisak ke rah gai sine mein aarzu-e-kamal hum apni dubti qadron ke sath dub gae milegi ab to kitabon mein bas hamari misal hue ana ke dikhawe se log sar afraaz ana ne sar ko utha kar kiya hamein pamal zara si umr mein kis kis ka hal talash karen khade hain rasta roke hue hazar sawal mere khulus ka yaron ne aasra le kar kiya hai khub meri dosti ka istehsal bujha bujha sa yahi dil hai is shabab ki rakh ragon mein daud rahi thi jo aatish-e-sayyal mile wo lamha jise apna kah saken 'kaifi' guzar rahe hain isi justuju mein mah-o-sal