har ek lab par KHamoshi ki sada thi

har ek lab par khamoshi ki sada thi
duaon mein badalti si hawa thi

kushada phailte aangan dilon ke
sabhi ke waste ghar mein jagah thi

jise samjhe hue the raushni hum
kisi man ki pari jaisi dua thi

jo bachchi khelti thi nange pairon
wo pahli rut ki hi jaise ghata thi

ratan jaana tha jis ko manthanon ka
ghadi wo zindagi bhar ki saza thi

bhanwar the daeron ke aasman mein
ye gardish ek nuqte ki khata thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close