har ek nazar mein mo'atabar hai wo shakhs jo aaj bhi idhar hai hum se hi jahan mein raunaqen hain hai kaun yahan jo be-hunar hai chaha tha bahut nibah hum ne is baat ki kya use khabar hai kya makr-o-fareb se daren hum haq baat hamari ham-safar hai har rah pe rahzan hain 'manzar' ab kaun yahan pe rahbar hai