har ek phul ke daman mein khar kaisa hai batae kaun ki rang-e-bahaar kaisa hai wo samne the to dil ko sukun na tha hasil chale gae hain to ab be-qarar kaisa hai yaqin tha ki na aaega mujh se milne koi to phir ye dil ko mere intizar kaisa hai agar kisi ne tumhaara bhi dil nahin toda to aansuon ka rawan aabshaar kaisa hai mujhe khabar hai ki hai be-wafa bhi zalim bhi magar wafa ka teri e'tibar kaisa hai tere makan ki diwar par jo hai chaspan talash kis ki hai ye ishtihaar kaisa hai ye kis ke khun se hai daman-e-chaman rangin ye surkh phul sar-e-shakh-dar kaisa hai ab un ki barq-e-nazar ko dikhao aaina wo puchhte hain dil-e-be-qarar kaisa hai meri khabar to kisi ko nahin magar 'akhtar' zamana apne liye hoshiyar kaisa hai