har ek se bezar wo apne mein magan hai

har ek se bezar wo apne mein magan hai
shayad use chehron ko parakh lene ka fan hai

hone se na hone ke safar mein hain sabhi gum
haalanki har ek chehre pe sadiyon ki thakan hai

is shahr ki mahdud mizaji ka asar dekh
go zehn kushada hain dilon mein to ghutan hai

alfaz lab-o-gesu-o-rukhsar hain us ke
ghazlon ki qabaon mein chhupa phul-badan hai

han main ne kabhi khwab mein dekhi thi wo duniya
'farhan' magar ab talak aankhon mein jalan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close