har ek shakhs ko kam hi samajh mein aata hun jo jaanta hai usi ki samajh mein aata hun na aaun to main samajh mein kabhi nahin aata samajh mein aaun to fauri samajh mein aata hun tujhe jo mujh se shikayat hai wo mohabbat hai isi liye to main teri samajh mein aata hun jo tishna-kaam nazar bhar ke dekhte hain unhen sharab aur surahi samajh mein aata hun samajh sake na mere yar to gila kaisa main khud bhi kaun sa apni samajh mein aata hun