har ek shaKHs se karte ho guftugu kya hai

har ek shakhs se karte ho guftugu kya hai
kabhi to hum se bhi puchho ki aarzu kya hai

jo tere waste tha hi nahin muqaddar mein
usi ko pane ki aakhir ye justuju kya hai

agar hon ghair bhi aur apne bhi sabhi qatil
ye dost kya hai bata aur phir adu kya hai

tumhaare hath ke khanjar ke waste hum ne
rakhe hain ruh-o-badan sab faqat gulu kya hai

sunahri zulf wo aankhen wo tabnak badan
unhen main chand kahun to bata ghulu kya hai

lihaz-e-izzat-e-farhad-o-qais main ne kiya
wagarna chahun to marne ko dasht-o-ku kya hai

salim daulat-o-shohrat nasab sabhi hain abas
ye fikr kar ki is aalam mein surkh-ru kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close