har ek shakhs shanasa dikhai deta hai ye aaine mein mujhe kya dikhai deta hai ye kis maqam pe lai hai aarzu mujh ko yahan to ghair bhi apna dikhai deta hai qarib ja ke tumhaare bhi laut aaya hun ki apne dard ka rishta dikhai deta hai meri nigah mein chubhte hain hijr ke kante jo gul bahaar mein tanha dikhai deta hai