har ek zehn mein sara hisab rahta hai sawal sunne se pahle jawab rahta hai wo ek mod jahan ek din luta tha main wahin mera dil-e-khana-kharab rahta hai hawa ke dam pe hai jab zindagi ka dar-o-madar to kyun ghurur tujhe ai habab rahta hai chalegi chaal koi gardish-e-falak shayad kai dinon se bada iztirab rahta hai wo jholi kaise bhare pyar karne walon ki isi firaq mein tuta shahab rahta hai mere liye hain musibat ye aaina-khane yahan zamir mera be-naqab rahta hai hasin khwab hon kitne hi par koi 'alok' tamam umr kahan mahw-e-khwab rahta hai