har gam sambhal sambhal rahi thi

har gam sambhal sambhal rahi thi
yaadon ke bhanwar mein chal rahi thi

sanche mein khabar ke dhal rahi thi
ek khwab ki lau se jal rahi thi

shabnam si lagi jo dekhne main
patthar ki tarah pighal rahi thi

rudad safar ki puchhte ho
main khwab mein jaise chal rahi thi

kaifiyyat-e-intizar-e-paiham
hai aaj wahi jo kal rahi thi

thi harf-e-dua si yaad us ki
zanjir-e-firaq gal rahi thi

kaliyon ko nishan-e-rah dikha kar
mahki hui raat dhal rahi thi

logon ko pasand laghzish-e-pa
aise mein 'ada' sambhal rahi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close