har-gam tasawwur tha tumhaara mere aage manzil ka bahut saf tha rasta mere aage ek hech haqiqat hai ye duniya mere aage qatra ye raha surat-e-dariya mere aage kya chiz hai duniya ka bharosa mere aage jab tera sahaara hai sahaara mere aage andaza mere gham ka lagaega koi kya hai meri tamanna ka janaza mere aage ehsas-e-wajud-e-gham-e-dil ko na mitao hai bais-e-taskin ye tamasha mere aage dil rah hi gaya tut ke ek zarb-e-nazar se kamzor tha kaisa ye khilauna mere aage lo haibat-e-tariki-e-shab tod chali dam aata hai nazar dur ujala mere aage ek umr ke afsane tumhein kaise sunaun malum nahin waqt hai kitna mere aage dhadkan mere dil ki badhi jati hai sarapa phir ishq ka shayad hua sauda mere aage mumkin hi nahin hai ye 'kalim' un ko bhula dun jab hai mere iman ka taqaza mere aage