har ghadi chalti hai talwar tere kuche mein roz mar rahte hain do chaar tere kuche mein haal sar ka mere zahir hai tere kya kije koi sabit bhi hai diwar tere kuche mein shakl ko kyunki na har dafa badal kar aaun hain meri tak mein aghyar tere kuche mein gham se badli hai meri shakl to be-khauf-o-khatar din ko bhi aate hain sau bar tere kuche mein na kare su-e-chaman bhul ke bhi rukh hargiz aan kar bulbul-e-gulzar tere kuche mein naragistan na samajh kholi hui aankhon ko hain tere talib-e-didar tere kuche mein lae jab ghar se to behosh pada tha 'arif' ho gaya aan ke hoshiyar tere kuche mein