har ghadi mehrban rahne do sau tarah ke guman rahne do ishq ko imtihan kya matlab ishq mein imtihan rahne do mere hisse mein bijliyan aain kaun tha baghban rahne do baat aisi karo ki ho matlab ye zamin aasman rahne do koi wada kabhi nibhaya hai ye siyasi bayan rahne do tum ko parwaz ki hai fikr 'anjum' tang hai aasman rahne do