har ghazal har sher apna istiara-ashna

har ghazal har sher apna istiara-ashna
fasl-e-gul mein jaise shakh-e-gul sharara-ashna

khun thuka dil jalaya naqd-e-jaan qurban ki
shahr-e-fan mein main raha kitna khasara-ashna

kah gaya apni nazar se an-kahe qisse bhi wo
bazm-e-harf-o-saut mein jo tha ishaara-ashna

apne tute shahparon ke nauhagar to the bahut
dasht-e-fan mein tha na koi sang-e-khara-ashna

umr bhar biphri hui maujon se jo ladta raha
wo samundar to azal se tha kinara-ashna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close