har irada muzmahil har faisla kamzor tha dur rah kar tum se apna haal hi kuchh aur tha apne hi andar kahin simta hua baitha tha main ghar ke bahar jab garajte baadalon ka shor tha ek ishaare par kisi ke jis ne kate the pahad sochta hun bazuon mein us ke kitna zor tha? kar liya hai us ne kyun tarik shab ka intikhab? muntazir us ke liye to ek sunahra daur tha! main ne kitni bar puchha tere ghar ka rasta zindagi ka masala jis waqt zer-e-ghaur tha