har jagah nazar aaya sahib-e-nazar tanha

har jagah nazar aaya sahib-e-nazar tanha
qalb mein sadaf ke bhi dekha hai guhar tanha

bujh sakegi kitnon ki pyas khun se mere
be-shumar teghen hain aur mera sar tanha

faiz kuchh tera bhi tha bakhshish-e-junun bhi thi
ek hujum tha pichhe hum chale jidhar tanha

mehr-o-mah khilae be-intiha se rishta hai
kyon samajhta hai apne aap ko bashar tanha

sair chand taron ki sathiyon mubarak ho
rah gaya qafas mein ab main shikasta-par tanha

ek apna aalam khud hai bana liya hum ne
sath mein rahi duniya hum rahe magar tanha

thi salib kandhon par ja rahe the maqtal ko
sath the bahut apne sab rahe magar tanha

manzilen juda sab ki rahguzar alag sab ke
rah gaya hai duniya mein apni har bashar tanha

kis ko fikr thi meri nargha-e-hawadis mein
muztarib dikhai di teri ek nazar tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close