har khushi ranj-o-gham pe war aae jitne qarze the sab utar aae kha ke har war apne sine pe rah-o-rasm-e-wafa sanwar aae kaun dekhe badalte mausam ko kab khizan aae kab bahaar aae aankhen khushiyon se bhigti hain zarur jab koi bhula gham-gusar aae zindagani ka kuchh bharosa nahin kaun jaane kahan pukar aae samjho be-kar guzra mah-e-siyam nekiyon mein na gar nikhaar aae us ki bakhshish pe zinda hain warna kab gunahon ka kuchh shumar aae aisi kuchh rah ustuwar karen nazr-e-'sadiq' bhi kuchh guzar aae