har khwab ke makan ko mismar kar diya hai behtar dinon ka aana dushwar kar diya hai wo dasht ho ki basti saya sukut ka hai jadu-asar sukhan ko bekar kar diya hai gird-o-nawah-e-dil mein khauf-o-hiras itna pahle kabhi nahin tha is bar kar diya hai kal aur sath sab ke is par hum khade the ek pal mein hum ko kis ne us par kar diya hai pa-e-junun pe kaisi uftad aa padi hai agli masafaton se inkar kar diya hai