har KHwab ki jab ulTi tabir nazar aai

har khwab ki jab ulti tabir nazar aai
takhrib ke pahlu mein tamir nazar aai

tanhai mein jab guzre takhil ki rahon se
ta-hadd-e-nazar us ki taswir nazar aai

us husn-e-mujassam ki masum nigahon mein
duniya-e-mohabbat ki tafsir nazar aai

is aalam-e-hasti mein aalam-o-masarrat ki
har shakhs ke pairon mein zanjir nazar aai

jis rah se guzre hain har ek nafas hum ko
tadbir se wabasta taqdir nazar aai

dil bujhne laga jab se dhundle hue aaine
mauhum zamane ki taswir nazar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close