har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe umr bhar kaun nibhata hai talluq itna ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe hum ko achchha nahin lagta koi hamnam tera koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe dil bhi pagal hai ki us shakhs se wabasta hai jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe kam nahin tama-e-ibaadat bhi to hirs-e-zar se faqr to wo hai ki jo din na duniya rakkhe hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai 'faraaz' hum to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakkhe