har koi hasb-e-taufiq sahra ka manzar banata raha main bhi wahshat ke naqshe ko kamre ke andar banata raha jab talak mere talwon pe ek be-niyazi ki kalak rahi sang-rezon pe edi ragad kar main gauhar banata raha us ki sundar lawen baaliyon ke liye jhilmilati rahin main qalam ki siyahi se jis ke liye zar banata raha taj-poshi ko pahle sunahri parinde ikatthe kiye baad mein sar-burida shajar ke liye sar banata raha raat-bhar jaise lutne ke imkan ka dhol pita gaya koi siti baja kar hamare liye dar banata raha jis qadam ki dhamak se sitaron ke fanus jalte rahe us qadam ka nishan chum kar main bhi manzar banata raha raat bhigi to bhigi hui aankh se 'mir' padhte hue koi meri kami ko saliqe se behtar banata raha