har laghzish-e-hayat par itra raha hun main aur be-gunahiyon ki qasam kha raha hun main naz-afrin mera bhi khiram-e-niyaz dekh mahshar mein muskuraata hua aa raha hun main har ashk-e-dil-gudaz mai-nau-kashida hai saghar se shoala ban ke uda ja raha hun main zarb-ul-masal hain ab meri mushkil-pasandiyan suljha ke har girah ko phir uljha raha hun main chalta hai sath sath zamane ke kya karun rukh par hawa ke bahta chala ja raha hun main sab rishte ab to tut chuke sabr-o-zabt ke angdaiyon ko rok uda ja raha hun main hathon se chhutne ko hai ab dil ka aaina tum to sanwar rahe ho mita ja raha hun main kya faeda zamane se takraun kyun 'siraj' khud apne raste se hata ja raha hun main