har lamha tha sau sal ka talta bhi to kaise le aai shab-e-gham koi marta bhi to kaise ek aag thi jo phunk rahi thi do-jahan ko wo dil se mere ho ke guzarta bhi to kaise hum pyas ke maron ne abas aas lagai barsa hua baadal tha barasta bhi to kaise gulchin ki nazar tak mein rahti thi barabar ghuncha koi khilta bhi mahakta bhi to kaise tinke ki rukawat bhi na thi ghaar ki tah mein phir phaila hua panw sambhalta bhi to kaise saya na koi naqsh-e-qadam kucha na bazar sahra ke safar mein tha bhatakta bhi to kaise sine mein koi shoala na nazron mein kahin barq 'shohrat' bhala dil mera bahalta bhi to kaise