har lamha zindagi ke pasine se tang hun main bhi kisi qamiz ke collar ka rang hun mohara siyasaton ka mera nam aadmi mera wajud kya hai khalaon ki jang hun rishte guzar rahe hain liye din mein battiyan main aadhunik sadi ki andheri surang hun nikla hun ek naddi sa samundar ko dhundhne kuchh dur kashtiyon ke abhi sang-sang hun manjha koi yaqin ke qabil nahin raha tanhaiyon ke ped se atki patang hun ye kis ka dastakhat hai batae koi mujhe main apna nam likh ke anguthe sa dang hun