har mausam mein Khaali-pan ki majburi ho jaoge

har mausam mein khali-pan ki majburi ho jaoge
itna us ko yaad kiya to patthar bhi ho jaoge

hanste bhi ho rote bhi ho aaj talak to aisa hai
jab ye mausam sath na denge taswiri ho jaoge

har aane jaane wale se ghar ka rasta puchhte ho
khud ko dhoka dete dete be-ghar bhi ho jaoge

jina marna kya hota hai hum to us din puchhenge
jis din mitti ke hathon ki tum mehndi ho jaoge

chhoti chhoti baaton ko bhi itna saja kar likhte ho
aise hi tahrir rahi to bazari ho jaoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close