har nafas mein dil ki betabi badhate jaiye dur rah kar bhi mere nazdik aate jaiye ek zara tham tham ke ye parde uthate jaiye dekhne walon ki nazren aazmate jaiye mere is zulmat-kade ko jagmagate jaiye ho sake to meri khatir muskuraate jaiye phir isi andaz se nazren milate jaiye dekhne walon ki nazren aazmate jaiye ya koi taskin ki surat batate jaiye ya phir apni yaad se ghafil banate jaiye rafta rafta khud ko diwana banate jaiye husn ki dilchaspiyon ke kaam aate jaiye aql kahti hai dobara aazmana jahl hai dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye kufr o iman ke siwa bhi kuchh manazir aur hain un ke har andaz par iman late jaiye aa hi jaega koi qismat ka mara qais bhi har taraf umm-e-rukh-e-laila bichhate jaiye main ne kuchh fitrat hi pai hai ajab mushkil-pasand meri har mushkil ko mushkil-tar banate jaiye yaad hai 'mahir' mujhe un ka wo kahna yaad hai aaj to bas raat bhar ghazlen sunate jaiye