har naghma-e-pur-dard har ek saz se pahle hangama bapa hota hai aaghaz se pahle dil dard-e-mohabbat se to waqif bhi nahin tha jaanan tere bakhshe hue eazaz se pahle shoalon pe chalati hai mohabbat dil-e-nadan anjam zara soch le aaghaz se pahle ab meri tabahi ka use gham bhi nahin hai jis ne mujhe chaha tha bade naz se pahle shahin wo kahlane ka haqdar nahin hai jo su-e-falak dekhe na parwaz se pahle ab raaz ki baaten na bata de wo kisi se ye khauf nahin tha kabhi hamraaz se pahle thi mir-taqi-'mir' ki nauhagari mashhur 'afzal' ki sisakti hui aawaz se pahle