har rag-e-khar ki tahwil mein khun hai mera be-karan dasht dabistan-e-junun hai mera naqsh-e-mauhum hai sab wusat-e-raz-o-aflak mere shahpar ke tale said-e-zabun hai mera shakhen talwar ki surat hain gul-o-barg hain sang dil ka ye nakhl giraftar-e-fusun hai mera zakhm kya hai kisi shamshir-e-nigah ka ejaz ashk kya hai samar-e-fasl-e-darun hai mera hijr ka chand dahakta hua angara sahi magar is se bhi kahin shola fuzun hai mera sab mere dil pe karam us nigah-e-naz ka hai be-qarari hai meri aur na sukun hai mera gham ka zahrab rag o pai mein jo utra 'ishrat' tab ye malum hua mujh ko wo kyun hai mera