har roz jo mar jaane ka elan karo ho sach bolo ki tum kis ki mohabbat mein maro ho kis tarah yaqin ho ki kabhi aan miloge jab dur se tum aankh milane se daro ho anjam ki talkhi ko nigahon mein samoe kyon khun mere jazb-e-tamanna ka karo ho dekhe pe to karte ho shanasai se inkar sunta hun ki tum mere liye aahen bharo ho zulfon ki ghata se rukh-e-raushan ko chhupa kar tum din mein siyah raat ki tashkil karo ho baraat sitaron ki nikal aati hai us dam tariki mein jab mang ko afshan se bharo ho maqbul hain 'hasrat' yunhi ashaar tumhaare tum sahl-bayani mein ghazal pesh karo ho