har sans hai sharh-e-nakaami phir ishq ko ruswa kaun kare takmil-e-wafa hai mit jaana jine ki tamanna kaun kare jo ghafil the hushiyar hue jo sote the bedar hue jis qaum ki fitrat murda ho us qaum ko zinda kaun kare har subh kati har sham kati bedad sahi uftad sahi anjam-e-mohabbat jab ye hai is jins ka sauda kaun kare hairan hain nigahen dil be-khud mahjub hai husn-e-be-parwa ab arz-e-tamanna kis se ho ab arz-e-tamanna kaun kare fitrat hai azal se pabandi kuchh qadr nahin aazadi ki nazron mein hain dilkash zanjiren rukh jaanib-e-sahra kaun kare