har sans mein hai sarir-e-khama main khud ko har aan likh raha hun kam-zaiqa aashna hain jis ke ek aisi zaban likh raha hun patthar hain tamam lafz lekin main phul saman likh raha hun raushan hai yaqin ki raushnai ya apne guman likh raha hun in dast-burida mausamon mein allah ki shan likh raha hun diwar chatakh rahi hai mujh mein sahra ko makan likh raha hun ye marifat-e-ghazal to dekho anjaan ko jaan likh raha hun